problem in samsung dvd writer

Status
Not open for further replies.

dinesh1

Broken In
yaar bhai logo
10 - 15 dino se mera samsung dvd writer mere system per dvd write nahi kar raha hain
jab cd write karte hain to aasani se ho jaati hain lakin dvd write hain to writing procedure to complete ho jata hain lakin dvd mein kuch nahi aata.
meine dekha software mein problem hogi to meine nero ki jagah NTI CD & DVD-Maker 7 install kar ke dvd write ki to bhi wahi baat khali dvd.
jab meine dvd writer dost ke system per lagaya to sahi chal raha hain .
ye dekh kar meine os naya dala phir bhi problem ka koi solution nahi nikal raha .
yaar bhi logo isko bech du kya , ya koi ilaaz hain is dvd wrietr ka
kastha ke liye xma
 

expertno.1

Technomancer
agar ye tumhare dost ke computer per kaam kar raha hai to iska matlab tumhare mobo mein garbari hai

use dukandar aur technician ke paas le jaao
 

mariner

Ambassador of Buzz
uski cable jahan motherboard mein lagti hai use check kiya kya?
agar tumhare paas koi doosra cd rom hai to use us jagah par laga ke dekho.shayad taklif ya musibut us jagah par hogi !
 

expertno.1

Technomancer
@mariner

ek aur baat ki uska writer cd write kar pa raha hai

aur uske dost ke computer per kaam kar raha hai

iska matlab yaa to mobo garar yaa to drive garbar yaa to denesh hi kuh garar likh raha hai
 

Netjunkie

In the zone
@dinesh1

jab aapne apke dost ke system par connect kiya to kya data cable aap hi ka use kiya ya aapke dost kaa.Ek bar data cable badal ke dekhna.
 

infra_red_dude

Wire muncher!
wow! hindi mein thread! kooool....jari rakho!

dvd media badal kar dekho! (i mean, kisi doosre company aur speed ka. ya usi company ka lekin doosre production batch aur speek ka).
 

q3_abhi

Youngling
Ek to DVD writer tumhare machine pe dusra lagakar dekho. Ya to phir data cable badal do. Ya to phir........kuch bhi karo writer ke saath.
 

siriusb

Cyborg Agent
There shud be a forum rule on the usage of hindi. Sure, you can use hindi for personal usage, but solutions and queries shud be in english. It will also aid in searching the bloody forum.

Maybe there shud be a protocol for it's usage, like:

<english solution goes here>
Personal: (hindi greetings goes here)
 
OP
D

dinesh1

Broken In
yaar bhai logo
jawab ke liye dhanyawad
meine aapke kahe anusar data cable bhi badal ker dekh li parntu baat nahi ban rahi hain , iska matlab dvd writer kharab hain parntu agar wrietr kharab hota to cd write nahi karta aur agar mobo khara hota to bhi cd write nahi hoti
iska koi ilaz hain ya phir bechna padega second hand ke roop mein
 

expertno.1

Technomancer
are bhai pehle yeh to sure karlo ki tumhara writer dvd write kar sakta hai ki nahi ?

kya pata tum apne cd writer ko dvd writer samazh baithe ho
 
OP
D

dinesh1

Broken In
yaar bhai expertno.1,

aisi baat nahi hain , ye writer kuch din pahale dvd write kar raha tha, lagbhag 1 mahine se ye problem kar raha hain. kabhi dvd write hoti hain to khali folder aate hain ya pir system hang ho jata hain per dvd nahi chalti
 

expertno.1

Technomancer
are yaaar kahi ye tumhare OS mein to problem nahi ?

apne OS ko freshly install karo

aur antim mein

ho sake to technician ke passsss le jaaaaoooo
 
Status
Not open for further replies.
Top Bottom